Behti Hawa Sa Tha Woh
Udti Patang Sa Tha Woh
Kahan Gaya Usey Dhoondo
Behti Hawa Sa Tha Woh
Udti Patang Sa Tha Woh
Kahan Gaya Usey Dhoondo
Humko To Raahein Thi Chalati
Woh Khud Apni Raah Banata
Girta, Sambhalta,
Masti Mein Chalta Tha Wo
Hum Ko Kal Ki Fikr Sataati
Woh Bus Aaj Ka Jashn Manaata
Har Lamhe Ko Khul Ke Jeeta Tha Who
Kahan Se Aaya Tha Woh
Chhoo Ke Humare Dil Ko
Kahan Gaya Usey Dhoondo
Sulagti Dhoop Mein Chhaaon Ke Jaisa
Registaan Mein Gaaon Ke Jaisa
Mann Ke Ghaav Pe Marham
Jaisa Tha Who
Hum Sahme Se Rehte Koovein Mein
Woh Nadiya Mein Gote Lagata
Ulti Dhara Cheer Ke Tairta Tha Who
Baadal Awara Tha Woh
Yaar Humara Tha Woh
Kahan Gaya Usey Dhoondo
Humko To Raahein Thi Chalati
Woh Khud Apni Raah Banata
Girta, Sambhalta,
Masti Mein Chalta Tha Wo
Hum Ko Kal Ki Fikr Sataati
Woh Bus Aaj Ka Jashn Manaata
Har Lamhe Ko Khul
Ke Jeeta Tha Who
Kahan Se Aaya Tha Woh
Chhoo Ke Humare Dil Ko
Kahan Gaya Usey Dhoondo