Intro
Tehniyon Se Gir Chuke The Zard Patton Ki Tarah
Jud Sake Na Phir Dobaara Chaah Ke Bhi, Meherma
Tehniyon Ne Socha Hai Baarhaa Kya Huyi Thin Gustaakhiyaan
Roz-Roz Naaraaziyaan Le Gayi Thi Nazdeekiyaan
Roz-Roz Naaraaziyaan
N.c.
Le Gayi Thi Nazdeekiyaan
Verse 1
Yeh Tere-Mere Mein Jo Baatein Abhi Ho Rahi Hain
Aadhi-Aadhi Woh, Adhoori-Si Kyun Hain?
Yeh Lambi-Lambi-Si Khaamoshiyan Ki Kashtiyon Se
Dikh Raha Kinaara Nahi Hai
Chorus
Keh Do, Keh Do Na, Dil Mein Jo Bhi Chhupa Hai
Keh Do Na, Lafz Kyun Khafa Hain?
Na Kisi Ka Main, Na Koi Mera
Jo Bhi Hoon, Main Hoon Bas Ik Tera
Kaise Main Sunoon Teri Ankahee Baatein Bhala? Keh Do Na
Keh Do, Keh Do Na
Instrumental
Verse 2
Aate Hain Mann Mein Sau Sawaal
Bin Jawaabon Ke Bura Haal
Mil Jaayein Agar Sab Jawaab
Phir Badla Hai Har Sawaal
Chorus
Jaaun Main Kahaan
Main Kahaan?
Yeh Hawaayein Bhi Behte-Behte, Dekho, Deti Khabar
De Rahe Na Tum Jo
Na Kisi Ka Main, Na Koi Mera
Jo Bhi Hoon, Main Hoon Bas Ik Tera
Kaise Main Sunoon Teri Ankahee Baatein Bhala?
Outro