Heere Moti Main Na Chahoon
Main To Chahoon Sangam Tera
Main To Teri Saiyaan
Tu Hai Mera
Saiyaan Aaa
Saiyaan Aaa
Tu Jo Choo Le Pyaar Se
Aaraam Se Mar Jaaon
Aaja Chanda Baahon Mein
Tujhme Hi Gum Ho Jaaon Main
Tere Naam Mein Kho Jaon
Saiyaan Aaa
Saiyaan Aaa
Mere Din Khushi Se Jhoome Gaayein Raate
Pal Pal Mujhe Dubaaye Aate Jaate
Tujhe Jeet Jeet Haaru
Ye Praan Praan Vaaru
Haaye Aise Main Niharoon
Teri Aarti Utaroon
Tere Naam Se Jude Hai
Saare Naatein
Saiyaan Aaa
Saiyaan Aaa
Banke Maala Prem Ki Tere
Tan Pe Jhar Jhar Jaaon
Baithu Naiya Preet Ki
Sansaar Se Har Jaon Main
Tere Pyaar Se Tar Jaaon
Saiyaan Aaa
Saiyaan Aaa
Ye Naram Naram Nasha Hai, Badhta Jaaye
Koi Pyaar Se Ghungatiya Deta Uthaaye
Ab Baawra Hua Mann
Jag Ho Gaya Hai Roshan
Ye Nayi Nayi Suhaagan
Ho Gayi Hai Teri Jogan
Koi Prem Ki Pujaaran
Mandir Sajaaye
Saiyaan Aaa
Saiyaan Aaa
Heere Moti, Main Na Chahoon
Main To Chahoon Sangam Tera
Main To Teri Saiyaan
Tu Hai Mera
Main Na Jaanu, Tu Hi Jaane
Main To Teri, Tu Hai Mera
Main Na Jaanu, Tu Hi Jaane
Main To Teri, Tu Hai Mera
Main To Teri, Tu Hai Mera