Female Version
Bpm 120
Intro
Aum
Om Namah Shivay
Om Namah Shivay
Om Namah Shivay
Om Namah Shivay
Verse 1
Jai Ho Jai Ho Shankara (Bholenath Shankara)
Aadi Dev Shankara (Hey Shivaaya Shankara)
Tere Jaap Ke Bina (Bholenath Shankara)
Chale Ye Saans Kis Tarah (Hey Shivaaya Shankara)
Mera Karm Tu Hi Jaane
Kya Bura Hai Kya Bhala
Kya Bura Hai Kya Bhala
Tere Raaste Pe
Main Toh Aankh Mund Ke Chala
Aankh Mund Ke Chala Aankh Mund Ke Chala
Tere Naam Ki Jyot Ne
Sara Har Liya Tamas Mera
Chorus 1
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Trilok Naath Shambhu
He Shivaay Shankara
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev He Maheshwara
Interlude
Shivaaaa
Bridge 1
Shristi Ke Janam Se Bhi
Pehle Tera Vaas Tha
Yeh Jagg Rahe Ya Na Rahe
Rahegi Teri Aastha
Kya Samay Kya Pralay
Dono Mai Teri Mahaanata..
Mahaanata..mahaanata
Verse 2
Seepiyon Ki Ontt Main (Bholenath Shankara)
Motiyaan Ho Jis Tarah (Hey Shivay Shankara)
Mere Mann Mein Shankara (Bholenath Shankara)
Tu Basa Hai Uss Tarah (Hey Shivay Shankara)
Mujhe Bharam Tha Jo Hai Mera
Tha Nahin Kabhi Mera...
Arth Kya Nirarth Kya
Jo Bhi Hai Sabhi Tera...
Tere Saamne Hai Jhuka
Mere Sar Pe Haath Rakh Tera
Chorus 2
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Jai Trilok Naath Shambhu
He Shivaay Shankara
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev He Maheshwara
Namo Namo Ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev He Maheshwara
Outro
Rudradev He Maheshwara
Rudradev He Maheshwara
Shankara