Chorus
Agar Ye Keh Do Baghair Mere Nahi Guzara To Main Tumhara
Ya Uss Pe Mabni Koi Tassur Koi Ishara To Main Tumhara

Verse 1
Tum Apni Sharton Pe Khel Khelo Main Jaise Chahoon Lagaon Baazi

Agar Main Jeeta To Tum Ho Mere Agar Main Haara To Main Tumhara
Agar Ye Keh Do Baghair Mere
Verse 2
Ye Kis Pe Taaviz Kar Rahe Ho Ye Kis Ko Paane Ke Hain Vazīfey

Tamam Choddo Bas Ek Kar Lo Jo Istikhara To Main Tumhara