Intro
Verse 1: Maanu
Ajab Si Hai Yeh Pyaar Ki Daastaan
Teri Aankhon May Basay Woh Pal Hi Hain Wajah, Mhmm
Ranjishon Ki Intehaa Laayi Iss Dagar Pe
Bikhra Teri Yaad Ka Aanchal
Milay Naa Teri Dhoop Ab Mujhe Agarche
Andhere May Yeh Aangan
Pre Chorus: Maanu
O Ay Mere Khuda, Mujhko Samjha
Kaise Chalta Mohabbat Ka Kaarwaan?
Leta Rehta Hoon Bas Uska Naam
Jo Nahi Hai Ab Yahan
Chorus: Maanu
Haan, Meelon Ka Hai Yeh Faasla
Saza-E-Ishq Hai Kuch Iss Tarah
Ke Adhoora Sa Yoon Lagne Hai Laga
Ghum Puranay Darguzar Tu Kar Zara
Khaas Tha Jo Mere Tere Darmiyaan
Kar Naa Paaya Kyun Mein Tujhse Yeh Bayaan
Ke Tu Hi Hai Meri, Hoon Mein Tera
Aur Tere Gird Ghoomay Yeh Jahaan
Post-Chorus: Maanu
Hmm, Ghoomay Yeh Jahaan
Hmm, Ghoomay Yeh Jahaan
Ghoomay Yeh Jahaan
Verse 2: Abdul Hannan
Jaise Dhalte Sooraj Ki Roshni
Waisi Hi Thi Woh Unkahi Si Baat, Mmm
Khojta Rehta Tere Nazaray
Poochta Hoon, Bata Tu Kahan Rе?
Sajna Sanwarna Yaad Aaye
Reh Gaye Tou Bas Yеh Kinaaray
Pre Chorus: Maanu
Ay Mere Khuda, Mujhko Bata
Kya Yehi Hai Mera Imtehaan
Ke Woh Dard Barhta Raha
Par Jab Tak Hai Jaan Karenge Hum Pyaar?
Chorus: Abdul Hannan
Haan, Meelon Ka Hai Yeh Faasla
Saza-E-Ishq Hai Kuch Iss Tarah
Ke Adhoora Sa Yoon Lagne Hai Laga
Ghum Puranay Darguzar Tu Kar Zara
Khaas Tha Jo Mere Tere Darmiyaan
Kar Naa Paaya Kyun Mein Tujhse Yeh Bayaan
Ke Tu Hi Hai Meri, Hoon Mein Tera
Aur Tere Gird Ghoomay Yeh Jahaan
Post-Chorus: Maanu
Hmm, Ghoomay Yeh Jahaan
Hmm, Ghoomay Yeh Jahaan
Ghoomay Yeh Jahaan