Time Signature: 7/8 (Rupak Taal)
Chorus
Gham Diye Mustaqil,
Kitnaa Naazuk Hai Dil, Ye Na Jaanaa
Haay Haay Ye Zaalim Zamaanaa
De Uthe Daag-E-Lau
Unse Ai Maah-E-Nau Kah Sunaanaa
Haay Haay Ye Zaalim Zamaanaa
Interlude
Verse
Dil Ke Haathon Se Daaman Chhudaakar
Gham Ki Nazaron Se Nazaren Bachaakar
Uthke Wo Chal Diye,
Kahte Hi Rah Gaye Ham Fasaanaa
Haay Haay Ye Zaalim Zamaanaa
Verse
Koyi Meri Ye Roodaad Dekhe,
Ye Mohabbat Ki Bedaad Dekhe
Phunk Rahaa Hai Jigar,
Pad Rahaa Hai Magar Muskuraanaa
Haay Haay Ye Zaalim Zamaanaa
Chorus
Gham Diye Mustaqil,
Kitnaa Naazuk Hai Dil, Ye Na Jaanaa
Haay Haay Ye Zaalim Zamaanaa